Sahar Ansari

marhale zist ke dushwar abhi ho jaen

Sahar Ansari

Aurangabad, Aurangabad, Maharashtra, India

1939
marhale ziist ke dushvār abhī ho jaa.eñ
taaki ham jiine ko tayyār abhī ho jaa.eñ
ye jo kuchh log mire chār-taraf haiñ har-vaqt
yaar ho jaa.eñ ki aġhyār abhī ho jaa.eñ
jis kī ta.abīr hai ik ḳhvāb meñ chalte rahnā
kyuuñ na us ḳhvāb se bedār abhī ho jaa.eñ
jaane phir koī zarūrat bhī rahe yā na rahe
jin ko honā hai vo ġham-ḳhvār abhī ho jaa.eñ
koī tasvīr sajā legā to koī tahrīr
kyuuñ na ham naqsh-ba-dīvār abhī ho jaa.eñ
zindagī ḳhud ko bachānā hai ki jaañ denā hai
faisle ye bhī haiñ ki vaar abhī ho jaa.eñ
ek lamhe meñ badal sakte haiñ hālāt 'sahar'
aap agar shāmil-e-darbār abhī ho jaa.eñ
Top Urdushayar.com