sazā baġhair adālat se maiñ nahīñ aayā
ki baaz jurm-e-sadāqat se maiñ nahīñ aayā
fasīl-e-shahr meñ paidā kiyā hai dar maiñ ne
kisī bhī bāb-e-ri.āyat se maiñ nahīñ aayā
uḌā ke laa.ī hai shāyad ḳhayāl kī ḳhushbū
tumhārī samt zarūrat se maiñ nahīñ aayā
tire qarīb bhī yaad aa rahe haiñ kār-e-jahāñ
bahut qalaq hai ki fursat se maiñ nahīñ aayā
guzar ga.e yuuñ hī do chaar din aur is ke ba.ad
yahī huā ki nadāmat se maiñ nahīñ aayā
hamesha saath rahā hai 'sahar' merā sūraj
guzar ke vādī-e-zulmat se maiñ nahīñ aayā