mahsūs kyuuñ na ho mujhe begānagī bahut
maiñ bhī to is dayār meñ huuñ ajnabī bahut
-āsāñ nahīñ hai kashmakash-e-zāt kā safar
hai āgahī ke ba.ad ġham-e-āgahī bahut
har shaḳhs pur-ḳhulūs hai har shaḳhs bā-vafā
aatī hai apnī saada dilī par hañsī bahut
us jān-e-jāñ se qat-e-ta.alluq ke bāvajūd
us rahguzar meñ aaj bhī hai dilkashī bahut
is vaz-e-ehtiyāt kī zanjīr ke liye
maiñ ne bhī kī hai shahr meñ āvārgī bahut
msatānā-vār vādī-e-ġham tai karo 'sahar'
baaqī haiñ zindagī ke taqāze abhī bahut