havas o vafā kī siyāsatoñ meñ bhī kāmyāb nahīñ rahā
koī chehra aisā bhī chāhiye jo pas-e-naqāb nahīñ rahā
tirī aarzū se bhī kyuuñ nahīñ ġham-e-zindagī meñ koī kamī
ye savāl vo hai ki jis kā ab koī ik javāb nahīñ rahā
thiiñ samā.ateñ sar hāo-hū chhiḌī qissa-ḳhānoñ kī guftugū
vahī jis ne bazm sajā.ī thī vahī bāryāb nahīñ rahā
kam o besh ek se pairahan kam o besh ek sā hai chalan
sar-e-rahguzar kisī vasf kā koī intiḳhāb nahīñ rahā
vo kitāb-e-dil jise rabt thā tire kaif-e-hijr-o-visāl se
vo kitāb-e-dil to likhī ga.ī magar intisāb nahīñ rahā
maiñ har ek shab yahī band āñkhoñ se pūchhtā huuñ sahar talak
ki ye niind kis liye uḌ ga.ī agar ek ḳhvāb nahīñ rahā
yahāñ rāste bhī haiñ be-shajar hai munāfiqat bhī yahāñ hunar
mujhe apne aap pe faḳhr hai ki maiñ kāmyāb nahīñ rahā
faqat ek lamhe meñ munkashif huī sham-e-mausam-e-ārzū
'sahar' us ke chehre kī samt jab gul-e-āftāb nahīñ rahā