man ke mandir meñ hai udāsī kyuuñ
nahīñ aa.ī vo dev-dāsī kyuuñ
abr barsā baras ke khul bhī gayā
rah ga.ī phir zamīn pyāsī kyuuñ
ik ḳhushī kā ḳhayāl aate hī
chhā ga.ī zehn par udāsī kyuuñ
zindagī bevafā azal se hai
phir bhī lagtī hai bā-vafā sī kyuuñ
aisī fitrat-shikār-duniyā meñ
itnī insān-nā-shanāsī kyuuñ
kyuuñ nahīñ ek zāhir-o-bātin
aadmī ho ga.e siyāsī kyuuñ
ġham-gusārī ḳhulūs mehr-o-vafā
ho ga.e haiñ ye phuul baasī kyuuñ
ik haqīqat hai jab vatan kī talab
phir mohabbat kareñ qayāsī kyuuñ
ye mulāqāt ye sukūt ye shaam
ibtidā meñ ye intihā sī kyuuñ
milne vaale bichhaḌ bhī sakte haiñ
terī āñkhoñ meñ ye udāsī kyuuñ