Sahar Ansari

sada apni rawish ahl-e-zamana yaad rakhte hain

Sahar Ansari

Aurangabad, Aurangabad, Maharashtra, India

1939
sadā apnī ravish ahl-e-zamāna yaad rakhte haiñ
haqīqat bhuul jaate haiñ fasāna yaad rakhte haiñ
hujūm apnī jagah tārīk jañgal ke daraḳhtoñ kā
parinde phir bhī shāKٓH-e-āshiyāna yaad rakhte haiñ
hameñ andāza rahtā hai hamesha dost dushman kā
nishānī yaad rakhte haiñ nishāna yaad rakhte haiñ
ham insānoñ se to ye sañg-o-ḳhisht-e-bām-o-dar achchhe
musāfir kab huā ghar se ravāna yaad rakhte haiñ
duā-e-mausam-e-gul un ko raas aa hī nahīñ saktī
jo shāḳh-e-gul ke badle tāziyāna yaad rakhte haiñ
hamārī samt ik mauj-e-tarab aa.ī to yaad aayā
ki kuchh mausam hameñ bhī ġhā.ebāna yaad rakhte haiñ
ġhurūr un ko agar rahtā hai apnī kāmyābī kā
'sahar' ham bhī shikast-e-fātehāna yaad rakhte haiñ
Top Urdushayar.com