Sahar Ansari

ek KHwab ke mauhum nishan DhunD raha tha

Sahar Ansari

Aurangabad, Aurangabad, Maharashtra, India

1939
ik ḳhvāb ke mauhūm nishāñ DhūñD rahā thā
maiñ hadd-e-yaqīñ par bhī gumāñ DhūñD rahā thā
saa.e kī tarah bhāgte māhaul ke andar
maiñ apne ḳhayāloñ kā jahāñ DhūñD rahā thā
jo raaz hai vo khul ke bhī ik raaz hī rah jaa.e
iz.hār ko maiñ aisī zabāñ DhūñD rahā thā
marham kī tamannā thī mujhe zaḳhm se bāhar
darmāñ thā kahāñ aur kahāñ DhūñD rahā thā
shāyad ki vo vāqif nahīñ ādāb-e-safar se
paanī meñ jo qadmoñ ke nishāñ DhūñD rahā thā
kab thā use andāza 'sahar' sañg-e-falak kā
shīshe ke makāñ meñ jo amaañ DhūñD rahā thā
Top Urdushayar.com