Fay Seen Ejaz

aankh aur nind ke rishte mujhe wapas kar de

Fay Seen Ejaz

Delhi, India

1948
aañkh aur niiñd ke rishte mujhe vāpas kar de
mere ḳhvāboñ ke jazīre mujhe vāpas kar de
tujh ko manzūr nahīñ mujh ko hai ab bhī manzūr
merī qurbat mire bose mujhe vāpas kar de
apne māthe ke chamakte hue sūraj kī qasam
merī ā.ankhoñ ke savere mujhe vāpas kar de
zindagī sāya-e-gesū se nikal kar chup hai
merī zanjīr ke halqe mujhe vāpas kar de
na to parde haiñ, na gul-dān, na fānūs koī
ghar ke ḳhush-rañg salīqe mujhe vāpas kar de
putliyāñ hiltī thiiñ jāpān kī guḌiyā kī tarah
ḳhvāb ā.ankhoñ ke darīche mujhe vāpas kar de
ek maḳhlūq ko jhuknā thā mire qadmoñ par
mere mahkūm farishte mujhe vāpas kar de
merī qadreñ mire maazī kī vo sachchī qadreñ
merī tahzīb ke rishte mujhe vāpas kar de
merā chehra mirī qāmat mirī azmat ke nishāñ
merī tārīḳh ke safhe mujhe vāpas kar de
bech dene pe bhī ghar lauT kar aa jaate the
vo vafādār parinde mujhe vāpas kar de
aa paḌī aisī zarūrat ki lahū pī jā.ūñ
ab mire ḳhuun ke rishte mujhe vāpas kar de
kis liye chhīn rahā hai tū mire ghar kā sukūñ
mere bachchoñ ke khilaune mujhe vāpas kar de
kaun kahtā hai ki jaane de mirī laash ko ghar
bas mire ḳhuun ke kapḌe mujhe vāpas kar de
mil rahī hai mujhe nā-karda gunāhoñ kī sazā
mere mālik mire sajde mujhe vāpas kar de
muntashir haiñ mirī bheḌeñ unheñ yakjā kar luuñ
mere rūhānī vasīle mujhe vāpas kar de
lā idhar, sāmne laa, TuuTī huī kashtī ko
maiñ salāmat huuñ vo taḳhte mujhe vāpas kar de
tū jinheñ bech ke ḳhush-hāl nahīñ hotā hai
qissa-go aise latīfe mujhe vāpas kar de
khel phir in ke binā khel na rah pā.egā
zid na kar taash ke patte mujhe vāpas kar de
Top Urdushayar.com