Meer Basheer

rawish rawish pe jawani ke tajdar aae

Meer Basheer

Sialkot, Punjab, Pakistan

1907
ravish ravish pe javānī ke tājdār aa.e
junūñ ke qāfile vābasta-e-bahār aa.e
vo raat jis kā baḌā intizār thā dil ko
vo raat dard ke pahlū meñ ham guzār aa.e
milā javāb haram se na but-kade se kahīñ
galī galī meñ tire naam ko pukār aa.e
ḳhudā kare mirī rātoñ meñ kā.enāt-e-jamāl
ga.ī bahār ko le kar hazār baar aa.e
kisī kī yaad ke jalvoñ ke be-qarār hujūm
ufuq se chāñd jo ubhrā to ashk-bār aa.e
jo hone vaalā hai ho kar rahegā 'mīr' āḳhir
magar majāl hai dil ko kahīñ qarār aa.e
Top Urdushayar.com