sargarm-e-tamāsha thā dil mahv-e-adā barsoñ
samjhā hī nahīñ nādāñ mafhūm-e-vafā barsoñ
āshufta-mizāj āḳhir jaa.eñ to kahāñ jaa.eñ
har gaam pe yāroñ ne dhokā hī diyā barsoñ
ik baar guzartā hai dil dard kī rāhoñ se
rag rag se taḌaptī hai tāsīr-e-duā barsoñ
vo ālam-e-madhoshī vo mastī-e-rindāna
gul-rañg javānī thī kyā hosh-rubā barsoñ
āġhosh-e-tasavvur meñ sau baar go aate haiñ
lekin na qarīb aa.e vo jān-e-hayā barsoñ
go 'mīr' ke nāloñ meñ tāsīr-e-junūñ kam thī
aisā bhī kahāñ hogā ab sho.ala-navā barsoñ