dikhā kar aa.ine meñ apnā chehra kho ga.e haiñ
ye duniyā bhī tamāshā thī tamāshā ho ga.e haiñ
musāfir haiñ safar meñ būd-o-bāsh apnī yahī hai
jahāñ par koī saaya mil gayā hai so ga.e haiñ
ba-zāhir ek sahrā haiñ magar aisā nahīñ hai
hamārī ḳhaak ko kitne hī dariyā ro ga.e haiñ
vo mausam aur manzar jin se ham tum ḳhush-nazar the
vo mausam aur manzar darmiyāñ se kho ga.e haiñ
qadam āhista rakkho kah rahe haiñ ḳhushk patte
daraḳhtoñ par thake-hāre parinde so ga.e haiñ
nahīñ ehsās tum ko rā.egānī kā hamārī
suhulat se tumheñ shāyad mayassar ho ga.e haiñ
rifāqat meñ ye kaisā sāneha guzrā hai ham par
badan bedār haiñ lekin muqaddar so ga.e haiñ
kabhī sairāb jo lamhe kiye the ḳhūn-e-dil se
vahī lamhe 'razī' āñkhoñ meñ kāñTe bo ga.e haiñ