rasta bhī tirī samt thā ghar terī taraf thā
ab jā ke khulā merā safar terī taraf thā
āñgan thā mirā aur na dar-o-bām the mere
maiñ dhuup meñ thā sāya-e-dar terī taraf thā
mahfil tujhe bas chhoḌ ke jaane ke liye thī
ik maiñ hī faqat ḳhāk-basar terī taraf thā
ujlat meñ na kar tark-e-ta.alluq kī shikāyat
dil terī taraf yaad to kar terī taraf thā
ā.īne meñ aur āb-e-ravāñ meñ thā tirā aks
shāyad ki mirā dīda-e-tar terī taraf thā
tū mausam-e-gul meñ bhī gurezāñ rahā mujh se
maiñ shāḳh-e-burīda thā magar terī taraf thā
maiñ tere havāle se rahā shahr meñ ma.atūb
jo merā hunar thā vo hunar terī taraf thā