Khwaja Razi Haidar

aisa kar sakte the kya koi guman tum aur main

Khwaja Razi Haidar

Karachi, Sindh, Pakistan

1946
aisā kar sakte the kyā koī gumāñ tum aur maiñ
aise tanhā nazar ā.eñge yahāñ tum aur maiñ
bazm ārāsta hogī to numāyāñ hoñge
kisī tanhā.ī meñ shāyad haiñ nihāñ tum aur maiñ
rahguzar ḳhatm huī jaatī hai aage jā kar
chhoḌ aa.e haiñ kahāñ apnā nishāñ tum aur maiñ
jhilmilātī hai kahīñ par kisī imkān kī lau
usī imkān kī jānib nigarāñ tum aur maiñ
be-hisī shart hī Thahrī thī rifāqat meñ agar
kis liye karte rahe jaañ kā ziyāñ tum aur meñ
ek inkār kī ḳhvāhish ko chhupā.e dil meñ
gird-e-iqrār meñ baiThe haiñ miyāñ tum aur maiñ
ab thakan jism meñ utrī hai to aatā hai ḳhayāl
kin havāoñ meñ rahe raqs-kunāñ tum aur maiñ
maiñ ne pūchhā ki koī dil-zadagāñ kī hai misāl
kis tavaqquf se kahā us ne ki haañ tum aur maiñ
kis kī āvāz ta.āqub meñ chalī aa.ī 'razī'
is se pahle bhī to aa.e the yahāñ tum aur maiñ
Top Urdushayar.com