Fay Seen Ejaz

koi aankh chupke chupke mujhe yun nihaarti hai

Fay Seen Ejaz

Delhi, India

1948
koī aañkh chupke chupke mujhe yuuñ nihārtī hai
mire dil meñ ik tamannā kahīñ sar ubhārtī hai
mirī soch kā tarīqa mirī aañkh kā salīqa
yahī shai hai tere andar jo tujhe sañvārtī hai
na.e shauq kī chamak hai kisī mehmāñ nazar meñ
mirī ruuh meñ utar kar mire sar ubhārtī hai
mujhe kuchh dinoñ se us se baḌā pyaar mil rahā hai
kabhī apne dil ko vaare kabhī jaan hārtī hai
kabhī juuḌā khol denā kabhī phir se bāñdh lenā
mujhe shak sā ho chalā hai vo mujhe ubhārtī hai
koī guuñj ban ke ab tak vo hai jism-o-jāñ se lipTī
ki Thahar Thahar ke ab bhī vo mujhe pukārtī hai
ghane ho ga.e ziyāda jahāñ chāñdnī ke saa.e
usī dāman-e-shajar meñ vo mujhe pukārtī hai
nayā husn dekhtā huuñ ḳham-e-shāḳh-e-har-shajar par
ye bahār apne tan se jo libās utārtī hai
ka.ī saal kī mohabbat magar aaj bhī vahī hai
ki maiñ ik sharīr bachcha vo mujhe sudhārtī hai
baḌī der se huuñ lauTā mujhe ye batāo logo
mirī aarzū kā dāman vo kahāñ pasārtī hai
jo marā hai hādse meñ mirā us se kyā thā rishta
ye saḌak jo ḳhuuñ meñ tar hai mujhe kyuuñ pukārtī hai
Top Urdushayar.com