guzrī jo rahguzar meñ use darguzar kiyā
aur phir ye tazkira kabhī jā kar na ghar kiyā
chashm-e-salīqa-sāz to ḳhāmosh hī rahī
ruḳhsat pe terī dil ne bahut shor-o-shar kiyā
āzurdagān-e-hijr kī vahshat ajiib hai
nikle na ghar se aur na ābād ghar kiyā
be-barg-o-bār jism thā mahrūm-e-e'tibār
sar-gamī-e-sabā ne shajar ko shajar kiyā
apne sivā kisī ko ye dil māntā na thā
is dil ko ustuvār tirī aañkh par kiyā
ye ishq marhala to safar-dar-safar kā hai
ab dekhnā hai kis ne kahāñ tak safar kiyā
aise kushāda-dast kahāñ ke the ham 'razī'
shāyad lihāz-e-zahmat-e-daryūza-gar kiyā