kabhī makāñ meñ kabhī rahguzar meñ rahte the
ye roz-o-shab to hamesha nazar meñ rahte the
havā kī raah meñ uḌtī thī zindagī apnī
misāl-e-mauj kabhī ham bhañvar meñ rahte the
mohabbatoñ meñ bahut dil dhaḌaktā rahtā thā
ajiib log dil-e-mo'tabar meñ rahte the
hameñ bhī shauq thā kuchh titliyāñ pakaḌne kā
tamām rañg magar chashm-e-tar meñ rahte the
ḳhizāñ se pahle yahāñ kā ajiib mausam thā
samar kī tarah parinde shajar meñ rahte the
gurez-pā.ī kā shikva kareñ to kis se kareñ
safar meñ rah ke bhī ham log ghar meñ rahte the
havā ke saath zamāna badal gayā hai 'razī'
hamīñ the vo jo kabhī is nazar meñ rahte the