purānī shaam na.e āñganoñ ko rotī hai
kahīñ charāġh kahīñ rat-jagoñ ko rotī hai
kahīñ ye haal ki hai fāsla javāz-e-safar
kahīñ ye haal thakan fāsloñ ko rotī hai
ye shāḳh-e-dil thī hare mausamoñ kī dil-dāda
so dasht-e-hijr meñ taaza rutoñ ko rotī hai
vo aañkh jis ne kabhī hairateñ atā kī thiiñ
vo aañkh aaj mirī vahshatoñ ko rotī hai
ye kaisā tark-e-sukūnat kā e'tibār uThā
safar meñ rūh-e-safar hijratoñ ko rotī hai
guzishta umr se mansūb ik shanāsā.ī
pas-e-hajūz khaḌī fursatoñ ko rotī hai
mirā ḳhamīr ye kis ḳhaal hai uThā hai 'razī'
ki merī ḳhaak ajab maskanoñ ko rotī hai