Khwaja Razi Haidar

hina ke qaus-e-quzah ke shajar ke kya kya rang

Khwaja Razi Haidar

Karachi, Sindh, Pakistan

1946
hinā ke qaus-e-quzah ke shajar ke kyā kyā rañg
vo aañkh laa.ī hai zanjīr kar ke kyā kyā rañg
tujhe ḳhabar nahīñ pahlū-e-mausam-e-gul se
chhalak rahe haiñ tirī chashm-e-tar ke kyā kyā rañg
utar rahe haiñ mirī hairatoñ ke āñgan meñ
farāz-e-shab se tulū-e-sahar ke kyā kyā rañg
sar-e-visāl tire kaif-o-kam se zāhir haiñ
mirī nazar pe kaf-e-kūza-gar ke kyā kyā rañg
fazā ḳhamosh huī phir bhī raqs karte haiñ
navāh-e-jāñ meñ kisī kī nazar ke kyā kyā rañg
safar meñ tark-e-masāfat pe dil huā maa.il
masāfatoñ meñ khule apne ghar ke kyā kyā rañg
gumāñ bahār kā hotā hai ab ḳhizāñ pe 'razī'
churā liye haiñ ḳhizāñ ne shajar ke kyā kyā rañg
Top Urdushayar.com