Khwaja Razi Haidar

jo motarif the mere shajra-e-nasab ke sab

Khwaja Razi Haidar

Karachi, Sindh, Pakistan

1946
jo mo'tarif the mire shajra-e-nasab ke sab
vo log ho ga.e ruḳhsat yahāñ se kab ke sab
fazā-e-nisbat-o-qurbat hai gard gard magar
samajh rahe haiñ mire dil kā haal sab ke sab
vo log jin kī himāyat meñ ḳhud se laḌtā rahā
vo log ho ga.e mere ḳhilāf ab ke sab
ravish meñ auroñ ke aslāf kī ravish na rahī
so qisse likkhe ga.e mere hī nasab ke sab
maiñ dūsroñ kī talab meñ bahāl hotā rahā
ġhulām hote rahe apnī hī talab ke sab
vo harf jis se uThā hai mirī navā kā ḳhamīr
haiñ muntazir usī ik harf-e-zer-e-lab ke sab
use ḳhabar thī ki maiñ ek shab kā mehmāñ huuñ
sau band vā kiye us ne qabā-e-shab ke sab
kisī rihā.ī kā ahvāl jānñe ke liye
sirhāne baiThe haiñ ḳhāmosh jāñ-ba-lab ke sab
charāġh aur qalam aañkh aur hairānī
ye isti.āre haiñ goyā mirī talab ke sab
ye ranjisheñ haiñ 'razī' aur hī ta.alluq se
ye silsile haiñ kisī aur hī tarab ke sab
Top Urdushayar.com