Khwaja Razi Haidar

aaKHir suKHan tamam kiya is dua ke sath

Khwaja Razi Haidar

Karachi, Sindh, Pakistan

1946
āḳhir suḳhan tamām kiyā is duā ke saath
rahnā guloñ ke beach mahaknā havā ke saath
ik be-kanār hijr mirī ruuh meñ muqīm
ik be-panāh ḳhauf mirī iltijā ke saath
ik be-yaqīn raat mirī raat kī sharīk
ik be-dayār shaam dil-e-nā-rasā ke saath
ik barg-e-ḳhushk shāḳh se girne kā muntazir
aur merā jism kaañp rahā hai havā ke saath
sahrā meñ khīñchtī hai mujhe ḳhvāhish-e-qarār
sahrā ko khīñchtā huuñ maiñ zanjīr-e-pā ke saath
āñkhoñ meñ merī rañg ke dariyā utaar kar
chehre ko us ne pher liyā kis adā ke saath
dil kī girah-kushā.ī faqat shart hai 'razī'
khul jā.egā vo jism to band-e-qabā ke saath
Top Urdushayar.com