yā to tārīḳh kī azmat se lipaT kar so jā
yā kisī TuuTe hue but se chimaT kar so jā
nanhā bachcha hai to aa maañ ke ghane āñchal meñ
raat kī chhalnī saḌak hī se lipaT kar so jā
har ghaḌī shor machātī huī maḳhlūq ke beach
apne hone ke yaqīñ se zarā haT kar so jā
niiñd uḌne kā maza tū bhī chakhā de un ko
chaal makkār sitāroñ kī ulaT kar so jā
oḌh le saare badan par tū havā kī chādar
aur tūfān kī bāñhoñ meñ simaT kar so jā
ai ḳhalīfa ai na.e vaqt ke hārūn-rashīd
to rivāyāt-e-shab-e-adl se kaT kar so jā