kaisī hai ajab raat ye kaisā hai ajab shor
sahrā hī nahīñ ghar bhī machātā hai ajab shor
ik dard kī āñdhī mujhe rakhtī hai hirāsāñ
ik aas kā jhoñkā bhī uḌātā hai ajab shor
raushan hai kisī aañkh meñ tārīkī-e-ahvāl
ik tāq-e-tamannā meñ dahaktā hai ajab shor
ik shaḳhs mire ā.ina-e-dil ke muqābil
ḳhāmosh hai lekin pas-e-chehra hai ajab shor
aatī hai bahut duur se pāzeb kī āvāz
phir merī samā.at meñ chahaktā hai ajab shor
maiñ zabt ko har ruḳh se sipar kartā huuñ lekin
āñkhoñ se mirī jhāñktā rahtā hai ajab shor
shāyad tirā hissa hai kināre kī ḳhamoshī
ma.alūm tujhe kyā tah-e-dariyā hai ajab shor