sāhil pe gavāra hameñ marnā bhī nahīñ hai
TuuTī huī kashtī se utarnā bhī nahīñ hai
baiThe haiñ shab-o-roz tasavvur meñ usī ke
vo rāhguzar jis se guzarnā bhī nahīñ hai
likkheñge ba-har-hāl hikāyāt-e-junūñ ham
sachchā.ī qalam meñ hai to Darnā bhī nahīñ hai
ahbāb bhī ab tez kiye baiThe haiñ nāḳhun
ab apne kisī zaḳhm ko bharnā bhī nahīñ hai
qātil ko bulā laao sitamgar ko sadā do
inkār mujhe maut se karnā bhī nahīñ hai
ye ḳhaak hai aadam kī dabā is ko lahad meñ
is ḳhaak ko rāhoñ meñ bikharnā bhī nahīñ hai
ehsān masāfat meñ kisī kā nahīñ lete
dīvār ke saa.e meñ Thaharnā bhī nahīñ hai