koī taqrīb ho lāchāriyāñ haiñ
baḌe logoñ se rishte-dāriyāñ haiñ
hamārī kaj-kulāhī par na jaao
abhī ham meñ vahī ḳhuddāriyāñ haiñ
muravvat āo-bhagTī vaz.a-dārī
ye pichhle ahd kī bīmāriyāñ haiñ
ḳhushā jin ko mayassar aa.eñ nīndeñ
yahāñ to umr bhar bedāriyāñ haiñ
nahīñ hai aadmī ke bas meñ kuchh bhī
to phir kaahe kī ḳhud-muḳhtāriyāñ haiñ
vazīr-o-mīr hoñ yā shaiḳh-o-vā.iz
sabhī logoñ meñ zāhir-dāriyāñ haiñ
nahīñ hai monis-e-jāñ 'sāz' koī
dikhāve kī faqat dil-dāriyāñ haiñ