na vo hijr meñ rahīñ talḳhiyāñ na vo lazzateñ haiñ visāl meñ
na guzar tirā mire ḳhvāb meñ na maiñ gum huuñ tere ḳhayāl meñ
na tirī adā meñ vo dilkashī na mirī ġhazal meñ vo tāzgī
vo ġhubār-e-vaqt meñ dab ga.ī jo kashish thī husn-o-jamāl meñ
maiñ tirī jafā se ḳhafā nahīñ mujhe tujh se koī gila nahīñ
mujhe fikr kyā hai ma.aal kī tujhe kyā milā hai vabāl meñ
na vo āh-e-ġham na vo chashm-e-nam na vo laġhzisheñ haiñ qadam qadam
na vo kashmakash hai javāb meñ na vo valvale haiñ savāl meñ
mujhe koī fikr-e-asās hai na ḳhayāl-e-hosh-o-havās hai
dam-e-zindagī kā hirās hai na tamīz hai mah-o-sāl meñ