kabhī hudūd se bāhar kabhī vo had meñ rahā
mirā yaqīn hamesha gumāñ kī zad meñ rahā
hai bahr-o-bar meñ ravāñ haal merā sayyāra
gahe vo burj-e-samak meñ gahe asad meñ rahā
usī ke dam se rahī zindagī kī rañgīnī
junūñ kā kaif jo paimānā-e-ḳhirad meñ rahā
use nasīb kahāñ lazzat-e-sabīl-e-safar
vo kārvāñ jo nigahbānī-e-rasad meñ rahā
use kahāñ se milegī tire makāñ meñ amaañ
tamām-umr jau paikār-e-nek-o-bad meñ rahā
'razā' jo guzrā to kuchh raushnī bhī chhoḌ gayā
vo ik sharar thā jo andesha-e-abad meñ rahā