Moosa Raza

apni nazar mein aapko ruswa na kar sake

Moosa Raza

apnī nazar meñ aap ko rusvā na kar sake
ham dushmanoñ ke saath bhī dhokā na kar sake
sab rāstoñ kā ilm thā manzil qarīb thī
afsos ham-safar kā irāda na kar sake
āñkheñ asiir zehn giraftār lab ba-qufl
un ke huzūr ek ishāra na kar sake
un kā sitam to ḳhair bahut sah liyā magar
un ke karam kā bojh gavārā na kar sake
yārān-e-ġham-gusār dilāse tasalliyāñ
tinke the jin pe koī sahārā na kar sake
likhte rahe junūñ kī hikāyāt ḳhūñ-chakāñ
lekin kisī pe raaz ye ifshā na kar sake
zulmat-parast charāġh the aise bhī kuchh 'razā'
jalte rahe magar jo ujālā na kar sake
Top Urdushayar.com