Moosa Raza

un se iqrar-e-wafa ki aarzu karte rahe

Moosa Raza

un se iqrār-e-vafā kī aarzū karte rahe
umr-bhar ik be-zabāñ se guftugū karte rahe
jis taraf nazreñ uThīñ ik ajnabī chehra milā
ā.ina-ḳhāne meñ apnī justujū karte rahe
tum se mil kar bhī rahā ham ko tumhārā intizār
tum ko pā kar bhī tumhārī aarzū karte rahe
kaun jaane rūnumā huuñ kaun sī jānib se vo
is liye sajde pe sajda chār-sū karte rahe
husn kī gahrā.iyāñ tasvīr-dar-tasvīr thiiñ
aa.ina ham aa.ine ke rū-ba-rū karte rahe
zindagī pābandiyoñ kā naam thī lekin 'razā'
ham to zanjīroñ ko bhī zeb-e-gulū karte rahe
Top Urdushayar.com