ḳhudā kare to kisī raaz kā amiiñ na bane
gumāñ gumāñ hī rahe aur kabhī yaqīñ na bane
tujhe ye shauq ki parvāz ho buland apnī
mujhe ye Dar ki kabhī āsmāñ zamīñ na bane
ye baat aur hai koshish hazār kī ham ne
hamāre sher tumhārī tarah hasīñ na bane
ye alamiya hai hamārā ki ham ba-har-sūrat
tamāshā-gāh rahe aur tamāsh-bīñ na bane
ajab vo ġhurbat-e-dīvār-o-bār-o-dar thī ki ham
makān meñ rahe lekin kabhī makīñ na bane
uThāo haath duā ko to ehtiyāt rahe
ye haath uTh ke kabhī nañg-e-āstīñ na bane