Fay Seen Ejaz

KHarch jab ho gai jazbon ki raqam aap hi aap

Fay Seen Ejaz

Delhi, India

1948
ḳharch jab ho ga.ī jazboñ kī raqam aap hī aap
khul gayā ham pe hasīnoñ kā bharam aap hī aap
ab ke rūThe to manāne nahīñ aayā koī
baat baḌh jaa.e to ho jaatī hai kam aap hī aap
roz baḌhtā thā koī dast-e-talab apnī taraf
sar se hotā hogā ik bojh bhī kam aap hī aap
un ke va.adoñ pe koī din to guzāra kiije
aap ban jā.eñge tasvīr-e-alam aap hī aap
jaise bujhtā hai koī phuul sharāra ban kar
husn kī aañch bhī ho jā.egī kam aap hī aap
ābgīnoñ kī tarah TuuT gayā TuuT gayā
ḳhvāb-e-yūsuf meñ zuleḳhā kā bharam aap hī aap
shāḳh-e-tanhā.ī se phal toḌeñge chupke chupke
ishq ke ye bhī maze lūTeñge ham aap hī aap
der tak chhā.ī rahī ek udāsī dil par
jaane kyā soch ke phir hañs diye ham aap hī aap
maiñ kahāñ aayā huuñ laa.e haiñ tirī mahfil meñ
mirī vahshat mire majbūr qadam aap hī aap
Top Urdushayar.com