tere jalve se mire dil kā farozāñ honā
ek zarre kā hai ḳhurshīd-ba-dāmāñ honā
jab kisī ġhunche kā muñh chūmtī hai mauj-e-nasīm
yaad aatā hai tire lab kā gulistāñ honā
kis ko fursat hai ki har but kā jigar chaak kare
varna mushkil to na thā kufr kā īmāñ honā
ab kahāñ jā.ūñ ye āshob-e-tamannā le kar
dard ko aa gayā mizrāb-e-rag-e-jāñ honā
saañs lene ko musāfir kī tarah Thahre the
haa.e us sāya-e-dīvār kā zindāñ honā