nigāh-e-nāz kā rishta jo dil ke ghaav se hai
ye āb-o-rañg-e-tamannā isī lagāv se hai
ba-qadr-e-zarf piye aur apnī raah lage
sharāb-ḳhāne kī raunaq hī chal-chalāv se hai
vafā to kyā hai bas ik pās-e-vaz.a kah liije
aur itnī baat bhī mere hī rakh-rakhāv se hai
hakīm apne hī saa.e kī nāp-tol meñ ġharq
faroġh-e-fikr magar aql ke girāv se hai