koī manzil na koī jaada hai
ab musāfir kā kyā irāda hai
dil ye kahtā hai chāñd niklegā
tīrgī kal se kuchh ziyāda hai
jitne ġham hoñ mujhe atā kījiye
dāman-e-dil bahut kushāda hai
kam sahī iltifāt-e-dost magar
merī ummīd se ziyāda hai
ham 'suvaidā' se mil ke aa.e haiñ
fikr rañgīñ mizāj saada hai