tujh ko ḳhud apne hī saa.e pe gumāñ guzrā hai
terā vahshī tire kūche se kahāñ guzrā hai
jhilmilāne lage fānūs tirī mahfil ke
koī parvāna magar sho.ala-ba-jāñ guzrā hai
naġhmagī nāla-e-hijrāñ maiñ kahāñ se lā.ūñ
soz-e-dil sāz-e-bahārāñ se kahāñ guzrā hai
phuul gulshan meñ jigar-chāk nazar aate haiñ
sarv ke saa.e pe zindāñ kā gumāñ guzrā hai
ġham kī jhankār meñ shāmil thī shikast-e-dil bhī
mere nāloñ pe taġhazzul kā gumāñ guzrā hai
TimTimāte hue dekhe haiñ sitāroñ ke charāġh
kahkashāñ se abhī insān kahāñ guzrā hai