achchhī-ḳhāsī rusvā.ī kā sabab hotī hai
dūsrī aurat pahlī jaisī kab hotī hai
kuchh mafhūm samajh kar āñkheñ bol uTThīñ
sargoshī to yūñhī zer-e-lab hotī hai
koī masīhā shāyad us ko chhū guzrā
dil ke andar itnī raushnī kab hotī hai
taare TuuT ke dāman meñ gir jaate haiñ
jab mehmān yahāñ ik duḳhtar-e-shab hotī hai
ik be-dāġh dupaTTe meñ pākīza nuur
kitnī ujlī us kī namāz meñ chhab hotī hai
girī paḌī dekhī hai saḌak par tanhā.ī
pichhle pahar ko shahr kī niiñd ajab hotī hai
aksar maiñ ne qabristān meñ ġhaur kiyā
apnī miTTī apne haath meñ kab hotī hai
ab lagtā hai ik dil bhī hai siine meñ
pahle kuchh taklīf nahīñ thī ab hotī hai
ishq kiyā to apnī hī nādānī thī
varna duniyā jaan kī dushman kab hotī hai
qadam qadam par ham ne aap se nafrat kī
aisī mohabbat dil meñ kisī ke kab hotī hai
jaise ik jannat kī ne.amat mil jaa.e
mere liye to ghar kī fazā hī sab hotī hai
Dūbne vaalā phir uupar aa jaatā hai
kabhī kabhī dariyā kī mauj ġhazab hotī hai
rashk se merā chehra taktī hai duniyā
jaan kī dushman us kī surḳhī-e-lab hotī hai