Akhlaq Ahmad Ahan

ye tere lams ka ehsas jawan-tar ho jae

Akhlaq Ahmad Ahan

Bagaha, Bihar, India

1974
ye tire lams kā ehsās javāñ-tar ho jaa.e
ye tire qurb meñ har saañs javāñ-tar ho jaa.e
chaah ik der se ik raah takā kartī hai
aao pahle ki vahāñ ghaas javāñ-tar ho jaa.e
haiñ ka.ī chehre guzarte hue rāh-e-dil se
dekhiye kaun sā almās javāñ-tar ho jaa.e
rasm-e-duniyā ke salāsil meñ giraftārī hai
mat Thaharnā ki kahīñ phāñs javāñ-tar ho jaa.e
bazm-e-ulfat kī giraftārī se kaise bach paa.eñ
kis ko ma.alūm ki kab aas javāñ-tar ho jaa.e
ham sañjo.e hue rakkhe haiñ tirī yādoñ ko
vaqt aa.e ki jo hai paas javāñ-tar ho jaa.e
us kī manzil kā patā kis ko milā hai ab tak
haañ vahī bedil-e-barlās javāñ-tar ho jaa.e
Top Urdushayar.com