lagā ke aag bujhāne kī baat karte ho
phaphūle dil meñ sajāne kī baat karte ho
nahīñ samajhte mirī hālat-e-darūñ ko tum
faqat jo karte bahāne kī baat karte ho
sunā.ūñ maiñ jo kabhī haal apnī ulfat kā
subūt mujh se dikhāne kī baat karte ho
guzār kar maiñ yahāñ aayā huuñ shab-e-zulmat
karam na kar ke jalāne kī baat karte ho
jo pūchhtā huuñ kabhī be-ruḳhī kī maiñ illat
banā ke baat banāne kī baat karte ho
kabhī sitam pe jo bhartā huuñ aah tab bhī to
mire lahū meñ nahāne kī baat karte ho
tire huzūr meñ aayā jo āhan-e-be-bas
pinhā ke beḌī na jaane kī baat karte ho