Akhlaq Ahmad Ahan

jala ke dil ko rakha subh-o-sham roz-o-shab

Akhlaq Ahmad Ahan

Bagaha, Bihar, India

1974
jalā ke dil ko rakhā sub.h-o-shām roz-o-shab
mirā kamāl kamāl-e-charāġh hai ki nahīñ
rahā hai musht-e-turāb-e-azal mirā mamba.a
mirī ye ḳhāk-e-kamāl-e-ayāġh hai ki nahīñ
mujhe banāyā sarāpā savāl ab to batā
mirī talāsh kamāl-e-surāġh hai ki nahīñ
ġham-e-vajūd kā mātam karūñ to kaise jiyūñ
magar ḳhudā tire dāman pe daaġh hai ki nahīñ
jo kho gayā tirā 'āhan' sarāb-e-ḳhvāhish meñ
bhaTak na jaa.eñ kahīñ be-dimāġh hai ki nahīñ
Top Urdushayar.com