ghar kī mushkil koī hal chāhtī hai
mujh se vo tāj-mahal chāhtī hai
kaisī nādān hai duniyā kī talab
biij boyā nahīñ phal chāhtī hai
intizār āshnā āñkhoñ kī jalan
terī āñkhoñ ke kañval chāhtī hai
fikr hai sub.h kī dushman kaisī
raat kī raat ġhazal chāhtī hai
baiTh jā sāmne ik naaz ke saath
tū musavvir kā amal chāhtī hai
jis meñ har chehre ke TukḌe ho jaa.eñ
aañkh vo shīsh-mahal chāhtī hai