Majeed Akhtar

nashsha-e-shauq hai fuzun shab ko abhi sahar na kar

Majeed Akhtar

nashsha-e-shauq hai fuzūñ shab ko abhī sahar na kar
dekh hadīsh-e-dil-barāñ itnī bhī muḳhtasar na kar
saarā hisāb-e-jān-o-dil rakkhā hai tere sāmne
chāhe to de amaañ mujhe chāhe to darguzar na kar
apnoñ se haar jiit kā kaise karegā faisla
ai mire dil Thahar zarā ye jo muhim hai sar na kar
us kā ye husn vahm hai terā ye ishq hai gumāñ
itnā yaqīn dil mire vahm-o-gumān par na kar
hijrat-e-nau kā mas.ala baḌhte qadam na rok le
so mirī jaañ safar meñ rah dār-e-fanā meñ ghar na kar
itnā to vaqt de kabhī ḳhud se karūñ mukālima
ai mirī umr-e-tez-rau aise mujhe basar na kar
merī uḌaan hai mare rabb-e-karīm kī atā
yuuñ mire zid meñ muntashir apne ye bāl-o-par na kar
Top Urdushayar.com