dil se manzūr tirī ham ne qayādat nahīñ kī
ye alag baat abhī khul ke baġhāvat nahīñ kī
ham sazā-vār jo Thahre to sabab hai itnā
hukm-e-hākim pe kabhī ham ne itā.at nahīñ kī
ham ne mālik tujhe maanā hai to sachchā maanā
is liye terī kabhī jhūTī ibādat nahīñ kī
dostī meñ bhī faqat ek chalan rakkhā hai
dil ne inkār kiyā hai to rifāqat nahīñ kī
tū ne ḳhud chhoḌā mohabbat kā safar yaad to kar
maiñ ne to tujh se alag ho ke masāfat nahīñ kī
jhuum uTThegā agar us ko sunā.ūñ jā kar
ye ġhazal maiñ ne abhī nazr-e-samā.at nahīñ kī
us ko bhī apne ravayye pe koī uzr na thā
ham bhī the apnī anā meñ so ri.āyat nahīñ kī
ye to phir tujh se mohabbat kā thā qissa mirī jaañ
mere kis fe.al pe duniyā ne malāmat nahīñ kī
tū ne charche kiye har jā mirī rusvā.ī ke
maiñ ne ḳhud se bhī kabhī terī shikāyat nahīñ kī
dostoñ ko bhī rahī vaqt kī qillat 'aḳhtar'
hāl-e-dil ham ne sunāne kī bhī aadat nahīñ kī