karam ke baab meñ apnoñ se ibtidā kiyā kar
zarā sī baat pe dil ko na yuuñ burā kiyā kar
namāz-e-ishq hai TuuTe diloñ kī dildārī
mire aziiz na is ko kabhī qazā kiyā kar
ujāle ke liye hai chashm o dil kā ā.īna
bapā kabhī kisī mazlūm kī azā kiyā kar
ba-nām-e-maz.hab-o-millat ye ḳhuuñ bahānā kyā
harī harī vo kareñ tū ḳhudā ḳhudā kiyā kar
bajā sahī ye hayā aur ye ehtiyāt magar
kabhī kabhī to mohabbat meñ hausla kiyā kar
nazar meñ rakh mire iz.hār kī zarūrat ko
kabhī to nuun kā elaan bhī ravā kiyā kar
vo aib Dhaktā hai tere sabhī majīd-'aḳhtar'
so tū bhī darguzar ahbāb kī ḳhatā kiyā kar