Majeed Akhtar

nazar mein ek jahan hai aur tamanna ka jahan wo bhi

Majeed Akhtar

nazar meñ ik jahāñ hai aur tamannā kā jahāñ vo bhī
jo tair-e-fikr hai rahtā hai har-dam par-fishāñ vo bhī
zarā Thahro ki paḌh luuñ kyā likhā mausam kī bārish ne
mirī dīvār par likhtī rahī hai dāstāñ vo bhī
mohabbat meñ diloñ par jaane kab ye sāneha guzrā
jagah shak ne banā lī aur hamāre darmiyāñ vo bhī
suno ai raftagāñ rahtā nahīñ kuchh fāsla itnā
bas ik dīvār baaqī hai mirī dīvār-e-jāñ vo bhī
jahāñ par nā-rasā.ī hī riyāzat kā sila Thahre
hameñ dil ne sikhā rakkhā hai ik kār-e-ziyāñ vo bhī
na.e imkān kī jānib safar meñ jab taraddud ho
sadā kānoñ meñ aatī hai sadā-e-kun-fakāñ vo bhī
kisī dildār saa.at meñ kisī mahbūb lahje kā
dikhātī hai tamāsha aur mirī umr-e-ravāñ vo bhī
Top Urdushayar.com