Fay Seen Ejaz

uski har baat ne jadu sa kiya tha pahle

Fay Seen Ejaz

Delhi, India

1948
us kī har baat ne jaadū sā kiyā thā pahle
kitnā dilchasp kahānī kā ḳhudā thā pahle
ḳhvāb-lamha tirī ḳhushbū meñ basā thā pahle
be-ḳhabar niiñd meñ ik phuul khilā thā pahle
koī tāsīr thī jo ġham ko bhulā detī thī
tere andar koī fankār chhupā thā pahle
ye badan ab tujhe be-rūh khañDar lagtā hai
is havelī meñ ik insān jiyā thā pahle
vaqt par maut kī lazzat bhī nahīñ de paayā
mujh ko vo aadmī hiirā hī lagā thā pahle
ik sweater ne baḌhā dī thī javānī merī
tum ne mere liye ik ḳhvāb bunā thā pahle
maiñ jo kahtā thā vahī baat huā kartī thī
mere ghar meñ koī jaadū kā diyā thā pahle
kaise aatā hai dabe paañv gunāhoñ kā ḳhayāl
kitnī ḳhāmoshī se darvāza khulā thā pahle
jo bhī chehra thā vo apnā sā lagā kartā thā
mai-kada raqs meñ jab jhuum rahā thā pahle
uTh gayā hai to ab is shahr ko le Dūbegā
vahī tūfāñ mire andar jo dabā thā pahle
Top Urdushayar.com