milne kī tarah mujh se vo pal bhar nahīñ miltā
dil us se milā jis se muqaddar nahīñ miltā
ye rāh-e-tamannā hai yahāñ dekh ke chalnā
is raah meñ sar milte haiñ patthar nahīñ miltā
ham-rañgī-e-mausam ke talabgār na hote
saaya bhī to qāmat ke barābar nahīñ miltā
kahne ko ġham-e-hijr baḌā dushman-e-jāñ hai
par dost bhī is dost se behtar nahīñ miltā
kuchh roz 'nasīr' aao chalo ghar meñ rahā jaa.e
logoñ ko ye shikva hai ki ghar par nahīñ miltā