sabā kā narm sā jhoñkā bhī tāziyāna huā
ye vaar mujh pe huā bhī to ġhā.ebāna huā
usī ne mujh pe uThā.e haiñ sañg jis ke liye
maiñ paash paash huā ghar nigār-ḳhāna huā
jhulas rahā thā badan garmi-e-nafas se magar
tire ḳhayāl kā ḳhurshīd shāmiyāna huā
ḳhud apne hijr kī ḳhvāhish mujhe aziiz rahī
ye tere vasl kā qissa to ik bahāna huā
ḳhudā kī sard-mizājī samā ga.ī mujh meñ
mirī talāsh kā saudā payambarāna huā
maiñ ik shajar kī tarah rah-guzar meñ Thahrā huuñ
thakan utaar ke tū kis taraf ravāna huā
vo shaḳhs jis ke liye sher kah rahā huuñ 'nasīr'
ġhazal sunā.e hue us ko ik zamāna huā