is kaḌī dhuup meñ saaya kar ke
tū kahāñ hai mujhe tanhā kar ke
maiñ to arzāñ thā ḳhudā kī mānind
kaun guzrā mirā saudā kar ke
tīrgī TuuT paḌī hai mujh par
maiñ pashīmāñ huuñ ujālā kar ke
le gayā chhīn ke āñkheñ merī
mujh se kyuuñ vāda-e-fardā kar ke
lau irādoñ kī baḌhā dī shab ne
din gayā jab mujhe paspā kar ke
kaash ye ā.īna-e-hijr-o-visāl
TuuT jaa.e mujhe andhā kar ke
har taraf sach kī duhā.ī hai 'nasīr'
sher likhte raho sachchā kar ke