vo ham-safar thā magar us se ham-navā.ī na thī
ki dhuup chhāñv kā aalam rahā judā.ī na thī
na apnā rañj na auroñ kā dukh na terā malāl
shab-e-firāq kabhī ham ne yuuñ gañvā.ī na thī
mohabbatoñ kā safar is tarah bhī guzrā thā
shikasta-dil the musāfir shikasta-pā.ī na thī
adāvateñ thīñ, taġhāful thaa, ranjisheñ thiiñ bahut
bichhaḌne vaale meñ sab kuchh thaa, bevafā.ī na thī
bichhaḌte vaqt un āñkhoñ meñ thī hamārī ġhazal
ġhazal bhī vo jo kisī ko abhī sunā.ī na thī
kise pukār rahā thā vo Dūbtā huā din
sadā to aa.ī thī lekin koī duhā.ī na thī
kabhī ye haal ki donoñ meñ yak-dilī thī bahut
kabhī ye marhala jaise ki āshnā.ī na thī
ajiib hotī hai rāh-e-suḳhan bhī dekh 'nasīr'
vahāñ bhī aa ga.e āḳhir, jahāñ rasā.ī na thī