Naseer Turabi

misl-e-sahra hai rifaqat ka chaman bhi ab ke

Naseer Turabi

Hyderabad, Telangana, India

1945
misl-e-sahrā hai rifāqat kā chaman bhī ab ke
jal bujhā apne hī sho.aloñ meñ badan bhī ab ke
ḳhār-o-ḳhas huuñ to sharar-ḳheziyāñ dekhūñ phir se
aañkh le aa.ī hai ik aisī kiran bhī ab ke
ham to vo phuul jo shāḳhoñ pe ye socheñ pahroñ
kyuuñ sabā bhuul ga.ī apnā chalan bhī ab ke
manziloñ tak nazar aatā hai shikastoñ kā ġhubār
saath detī nahīñ aise meñ thakan bhī ab ke
munsalik ek hī rishte meñ na ho jaa.e kahīñ
tire māthe tire bistar kī shikan bhī ab ke
be-gunāhī ke libāde ko utāro bhī 'nasīr'
raas aa jaa.e agar jurm-e-suḳhan bhī ab ke
Top Urdushayar.com