Naseer Turabi

rache-base hue lamhon se jab hisab hua

Naseer Turabi

Hyderabad, Telangana, India

1945
rache-base hue lamhoñ se jab hisāb huā
ga.e dinoñ kī rutoñ kā ziyāñ savāb huā
guzar gayā to pas-e-mauj be-kanārī thī
Thahar gayā to vo dariyā mujhe sarāb huā
supurdagī ke taqāze kahāñ kahāñ se paḌhūñ
hunar ke baab meñ paikar tirā kitāb huā
har aarzū mirī āñkhoñ kī raushnī Thahrī
charāġh soch meñ gum haiñ ye kyā azaab huā
kuchh ajnabī se lage āshnā darīche bhī
kiran kiran jo ujāloñ kā ehtisāb huā
vo yaḳh-mizāj rahā fāsloñ ke rishtoñ se
magar gale se lagāyā to aab aab huā
vo peḌ jis ke tale ruuh gungunātī thī
usī kī chhāñv se ab mujh ko ijtināb huā
in āñdhiyoñ meñ kise mohlat-e-qayām yahāñ
ki ek ḳhema-e-jāñ thā so be-tanāb huā
salīb-e-sañg ho yā pairahan ke rañg 'nasīr'
hamāre naam se kyā kyā na intisāb huā
Top Urdushayar.com